Home Business Amul Franchise - High Profit Business Idea In Hindi 2021

Amul Franchise – High Profit Business Idea In Hindi 2021

Amul Franchise Dekar De Raha Hai Business Karne Ka Shandar Mauka.

Agar aap bhi koi New Business Idea shuru karne ka Plan Kar rahe hai to ham apko bata rahe hai ki new Year me kaise aap Amul Franchise ke sath jud kar moti kamai kar sakte hai.

Amul The Taste Of India

Agar aap New Job ki Search me hai to ham apko ek aise Business ke bare me batane ja rahe hai jisko shuru kar aap pahle din se hi moti kamai kar sakte hai.

Dairy Products banane wali company Amul ke sath Business karne ka is samy bada mauka hai. Amul New Year me bhi Franchise Offer kar rahi hai. Low Investment me har mahine niyamit kamai ki ja sakti hai. Amul Franchise lena fayde ka sauda hai. Isme nuksan na ke barabar hone ki gunjaish hoti hai.

Amul Dairy Products

Start Your New Business With 2 Lakh Only

Amul bina kisi Royalty ya Profit Sharing ke Franchise Offer kar rahi hai. Yahi nahi, Amul Franchise lene ka kharch bi bahut jyada nahi hai. Aap 2 Lakh se lekar 5 Lakh rupaye kharch karke apna Business Start kar sakte hai. Business ke Start me hi achha khasa Profit kamaya ja sakta hai. Amul Franchise ke jariye har mahine 5 se 10 Lakh Rupaye ki Sailing ho sakti hai. Halanki ye jagah par bhi nirbhar karta hai.

Kaise Leni Hogi Amul Ki Franchise

Amul do tarah ki Franchise Offer kar raha hai. Pahali Amul Outlet – Amul Railway Parlor / Amul Kiosk ki Franchise Aur Dusri Amul Ice Cream Scooping Parlour ki Franchise. Agar aap Pahali wali me Investment karna chahte hai to 2 Lakh Invest karne Honge. Wahi agar dusri wali Franchise lene ka soch rahe hai to 5 Lakh Invest karna hoga. Isme Non Refundable Brand Security ke taur par 25 se 50 Hajar Rupaye dene honge.

Franchise Offer

Amul Franchise Lene Se Kitna Milega Commission

Amul Outlet lene par company Amul Products ke Minimum Sailing Price yani MRP par Commission deti hai. Isme 1 Milk Pouch par 2.5 Percent, Milk Products par 10 Percent aur Ice Cream par 20 Percent Commission milta hai. Amul Ice Cream ki Scooping Parlor Franchise lene par Recipe Based Ice Cream, Shake, Pizza, Sandwich, Hot Chocolate Drink par 50 Percent Commission milta hai. Wahi Pre Packed Ice Cream par 20 Percent Aur Amul Products par Company 10 Percent Commission deti hai.

Business Ke Liye Padegi Itni Jagah Ki Jarurat

Agar aap Amul Outlet lete hai to apke paas 150 Square Feet jagah honi chahiye. Wahi Amul Ice Cream Parlor ki Franchise ke liye kam se kam 300 Square Feet ki jagah honi chahiye.

Amul Franchise Ke Liye Kaise Kare Apply

Agar aap Franchise ke liye Apply karna chahte hai to apko par Mail karna hoga. Iske alawa is Link http://amul.com/m/amul-scooping-parlours par jakar bhi Franchise ki jankari li ja sakti hai.

Facebook
Twitter
Pinterest
WhatsApp

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

Latest Post